Ek teri kahani ek meri kahani
Thori si muskurahat thora sa paani
Har ehsaas ek anchua pehlu hai
Par daastaan hai purani
Ek teri kahani ek meri kahani
Do shaqsh hai anjaan se
Do raasate begaane
Tare hai ek taraf aur duji oor
Suraj ki pashaani
Dhundle aakash mein chehre hai kai
Dhoodhe kisse nigaahein ye meri
Ek teri kahani ek meri kahani
Mor hai majhdhar hai
Bandhano ki dewaar hai
Paimane ko kheech rahi hai ek dor
Magar saki bekhayal hai
Padh na woh ghazal kehti sham suhaani
Dohara de phir se wahi kahani
Ek teri kahani ek meri kahani.
Samundar ki girti leherein
Uthne ko betaab hain
Jab dard dawaa ho, Sunayee deti hai
Wohi awaaz mujassmo mein bhi
Ja ke poocha haqeemo se nuskha-e-dillagi
Kabr dar kabr afnsaane bayan kiye
Syaahi khatam, par iraada jatil
Likhoo nazaarna is yaraane ka,
Shayad wo bhi padhe meri jubaani
Ek teri kahani ek meri kahani
6 comments:
Good one Ganny Boy...
Mor hai majhdhar hai
Bandhano ki dewaar hai
Paimane ko kheech rahi hai ek dor
Magar saki bekhayal hai
Padh na woh ghazal kehti sham suhaani
Dohara de phir se wahi kahani
Ek teri kahani ek meri kahani.
Liked these words bro...
Thx mate!
Agree with D and this part just binded everything else written above.. "Syaahi khatam, par iraada jatil
Likhoo nazaarna is yaraane ka,
Shayad wo bhi padhe meri jubaani
Ek teri kahani ek meri kahani
Do kahaniyon mein jeete ho, unki daastan bataate ho.. par phir bhi nahin jaante ke dhundhle aakash mein kayi chehron mein nigahein kisse dhundti hain.. kuch ajeeb hai!
Har ehsaas ek anchua pehlu hai
Par daastaan hai purani.. loved these lines, somehow can relate to them. As always, beautifully written..herez wishing 'wo' bhi padhe tumhari jubaani..:)
@div...ur comments were ...i must say a pleasant surprise. thnx for ur undying support!
@J...the quest is still on, n it dosnt end, till it ends!life remains subjective till u know who u r luking for...cn it be more apparent n clear?
KICK ass!!! dude you are a poet!!
googles acting wierd.. somehow i cant add you
Post a Comment