Sunday, August 28, 2011

Ek Pal Zindagi ka

Ek pal is zindagi ka yuhi beet gaya

Us pal mein jaise mera aks tham gaya

Kuch to alag huya,

Dard huya

Tees uthi

Par ghav nahin mila

Kadam na ruke

Rukte bhi kaise

Manzil jo paani thi

Aur main chalta gaya

Kyu mera jism mujhse bairi ho gaya

Mere chit mein ye kaisi thi hulchal

Dheere dheere saare rang beejan kyu lag rahe the

Hriday main aisi kampan maine pehle messos na ki

Ek pal zindagi ka yuhi beet gaya

Us pal mein jaise mera aks tham gaya



Tere aane ki pyaas

Tujhse milne kaa ehssas

Khaamosh lamhon mein khaati meethi si awaaz

Rooh ko sahlaane waala sparsh

Ye sab kal ki hi to baat thi

To aaj mein farq phir kya hua

Ek pal zindagi ka yuhi beet gaya

Us pal mein jaise mera aks tham gaya



Bahakte jazbaaton ne majboor kar diya

Teri ore dekha to tune door kar diya

Ruk jaane ka mann bahut tha

Magar rukna meri fitrat mein na tha

Aarzoo liye main swaarthi ban gaya

Dil ke har kone ko khali karta gaya

Is raah main khud se juda ho gaya

Ek pal zindagi ka yuhi beet gaya

Us pal mein jaise mera aks tham gaya



Adhure se khwaabon ko dafn kiya

Naye sapne sajaaye

Teri har yaad ko kharonch kar nikala

Thore se chain ke liye

Ta umar bechain ho gaya

Kuch keh hi deti tum

Ya kuch main hi sun leta

Ek pal aur us pal mein jod deta

Hasi aati hai, gussa bhi,

Sala, ek pal zindagi ka yuhi beet gaya

Us pal mein jaise mera aks tham gaya